Posts filed under ‘tehreek’
Kuch alfaaz zindagi ki ek maud par
Below I am just sharing two lines, there is not much to describe about them. These are just two lines, however if you read them then I expect you to say something about them or atleast what they convey to you!
Meri Zindagi par mera akhtiyaar naa raha,
Har mausam apne hi rang mein mujhe bighota gaya!
aati hai ghata harr baar naye andaaz sae (shayari for
My last poem was I think not accepted by few. Instead they did not like it. But I will post more .
Woh ghata hai, harr bar naye andaaz sae aati hai,
Ithlati hai , itraati hai aur khoob adayen dikhati hai…
Dekho woh uss ghamand mein choor hai..
Usse ghuroor hai, woh maghroor hai !!
Ek baar toh khol apni ankhein ae maghroor..
Yeh jo teri pooch sirf teri zabuun ki saroor hai !!
Mein nahin karta waada (Shayri) : copy-paste Shayari blogs ki Haqeeqat
Yeh Kavita / shayari khaas taur sae mere Shayari blog ke regular readers ko Nazar hai !
Magar uss sae pehle..
Mein kayi shayari forums sae jura, kai shayari blogs ko bila nagah padha aur paya ki sacche ya original shayar toh sirf ek percent hee hai jo internet per blog ya forum mein post karte hain, lekin baaki toh copy – paste karke, doosro ki anmol bhavnao ko apna naam deta hai aur jhoothi mashhoori batorte hain. Kayi shayari forums per maine dekha ki log sirf waqti wah wahi ke liye doosron ke bejorr kalamon ko apna naam de ker post karte hain aur Shayari ki beqadri karte hain. Meri koshish hai ki aapko kush rakhoon lekin sirf apni original shayariyon sae, malum hai ki harr ek shayari acchi nahi banegi leking kam sae kam woh meri apni toh hai.
Internet per Shayari ke inhi bure halaaton per meine ek chhoti see kavita / shayari likhi hai, ho sakta hai ki mein aapko apni blog per SMS post karke naa hassa paun lekin aapko sirf original / genuine / sacchi poetry toh zaroor de sakta hun.
Mein nahin karta wada
Lekin koshish jaari hai har lamha !
Ki de saku apni khasiyat …
Shayari jaari hai harr lamha !!
Na dunga naam apna kisi aur ke kalam ko,
Justuju sacchai ki jaari hai harr lamha !!
Saccha shayar mein rahun…
Mehnat jaari hai harr lamha !!!
Hai kayi churane wale unn lavzo ko
Gard jaari hai harr lamha !!
Wo joh lavz kisi ka haale dil hai..
Badastoor ghami jaari hai harr lamha !!
Wo joh harr ek harf likha kaaghaz per..
Kisi ka dil ka tukra toh kisi anssu ki boond hai,
Kyun log dete hain naam apna ..
Kisi ki bejorr mohabbat ki jo goonj hai..
Mein dukhi hun iss tarah sae..
Logon, dekho yeh shayari kala ki aayaam hai..
Samajho isko, karo iski izzat ..
Ki iska bhi apna ek mukaam hai!
Mein wada nahin karta,
lekin koshish jaari hai her laamha !!!
Recent Comments