Posts filed under ‘patriotic’
Aisa hi hota hai-Judai dard poetry / shayri in Urdu
I am again with a poem. This time its about JUDAI.. and a most common scenerio where people takes care about someone a lot but the other one always doubts.. that he is not given proper importance. Hence describing feeling first one when things get too messed up.
Aisa hi hota hai…
K jisko jitna sambhalo..
Utna hi door chala woh jata hai !Yakeen naa aaye ek bargi,
Lekin aisa wakyaa bhi hota hai …
Rota hai koi tootkar tanhai mein,
Phir bhi duniya mein woh hasta hai …Lagta hai jaise mitai thi hasti,
Sab jaise ab hara hua sa lagta hai ..
Jaane kitne wade liye-diye,
Chhootne pe sab bojhil sa dikhta hai…Aisa hi hota hai..
K jisko jitna sambhalo,
Utna hi door chala woh jata hai !
Mera bharat dukhi hai (shayari deshbhakti)
Kyun aaj mein dukhi hun,
Mujhe gham kiska sata raha hai.
Uss mor par jo andhra chaya hai,
Kyun mujhe woh daraa raha hai
Kyun unchayiyana mere mulk ki,
Mujhe khokhli dikhai de rahi hain,
Kyun woh jo gehra ander sama raha hai
Woh hai meri zami ka dil
Jo aaj dukh mana raha hai,
Noch rahe hai zamane wale,
Har ek apna jeevan sawar raha hai
Mere mulk ka kya hoga ae jan..
Mera bharat dukhi hai , dukh mana raha hai.
Recent Comments