Archive for February, 2007
Woh mera khuda (devotional – bandagi shayri)
Why not to some nice interaction with my blog readers ЁЯЩВ .
Below is the poem where I am saying thanx to God for all his blessing as well as telling him that I always believe in him.
Do tell how you like it.
Mein tha josh mein, meri chaal mein bhi kuch tezi thi,
Mujhe pata tha ki woh mera Khuda hai, uski nazar mujhper hamesha rehti thi,Kuch kar guzarne ki chah thi meri,zindagi bhi angdai leti thi,
Himmat badi paayi maine khud mein,per dua uski khudai sae bhi rehti thi,Jaaun jahan mein bhi, paaoun jo bhi mukaa,
Karta hoon mein waada tujhse khuda , loonga sirf tera naam !
aati hai ghata harr baar naye andaaz sae (shayari for
My last poem was I think not accepted by few. Instead they did not like it. But I will post more .
Woh ghata hai, harr bar naye andaaz sae aati hai,
Ithlati hai , itraati hai aur khoob adayen dikhati hai…
Dekho woh uss ghamand mein choor hai..
Usse ghuroor hai, woh maghroor hai !!
Ek baar toh khol apni ankhein ae maghroor..
Yeh jo teri pooch sirf teri zabuun ki saroor hai !!
Mein nahin karta waada (Shayri) : copy-paste Shayari blogs ki Haqeeqat
Yeh Kavita / shayari khaas taur sae mere Shayari blog ke regular readers ko Nazar hai !
Magar uss sae pehle..
Mein kayi shayari forums sae jura, kai shayari blogs ko bila nagah padha aur paya ki sacche ya original shayar toh sirf ek percent hee hai jo internet per blog ya forum mein post karte hain, lekin baaki toh copy – paste karke, doosro ki anmol bhavnao ko apna naam deta hai aur jhoothi mashhoori batorte hain. Kayi shayari forums per maine dekha ki log sirf waqti wah wahi ke liye doosron ke bejorr kalamon ko apna naam de ker post karte hain aur Shayari ki beqadri karte hain. Meri koshish hai ki aapko kush rakhoon lekin sirf apni original shayariyon sae, malum hai ki harr ek shayari acchi nahi banegi leking kam sae kam woh meri apni toh hai.
Internet per Shayari ke inhi bure halaaton per meine ek chhoti see kavita / shayari likhi hai, ho sakta hai ki mein aapko apni blog per SMS post karke naa hassa paun lekin aapko sirf original / genuine / sacchi poetry toh zaroor de sakta hun.
Mein nahin karta wada
Lekin koshish jaari hai har lamha !
Ki de saku apni khasiyat …
Shayari jaari hai harr lamha !!
Na dunga naam apna kisi aur ke kalam ko,
Justuju sacchai ki jaari hai harr lamha !!
Saccha shayar mein rahun…
Mehnat jaari hai harr lamha !!!
Hai kayi churane wale unn lavzo ko
Gard jaari hai harr lamha !!
Wo joh lavz kisi ka haale dil hai..
Badastoor ghami jaari hai harr lamha !!
Wo joh harr ek harf likha kaaghaz per..
Kisi ka dil ka tukra toh kisi anssu ki boond hai,
Kyun log dete hain naam apna ..
Kisi ki bejorr mohabbat ki jo goonj hai..
Mein dukhi hun iss tarah sae..
Logon, dekho yeh shayari kala ki aayaam hai..
Samajho isko, karo iski izzat ..
Ki iska bhi apna ek mukaam hai!
Mein wada nahin karta,
lekin koshish jaari hai her laamha !!!
Ek nayi kavita bhakti ki (Shayari in Hindi)
O mere palanhaar, yaha sab andhkaar hai ..
Mujhe teri jyot ka ujala mile, bas yahi darkaar hai ..
Tere Kripa ki Drashti sadaiv kare rakhsha
O mere palanhaar, teri maya apaar hai …
Mera bharat dukhi hai (shayari deshbhakti)
Kyun aaj mein dukhi hun,
Mujhe gham kiska sata raha hai.
Uss mor par jo andhra chaya hai,
Kyun mujhe woh daraa raha hai
Kyun unchayiyana mere mulk ki,
Mujhe khokhli dikhai de rahi hain,
Kyun woh jo gehra ander sama raha hai
Woh hai meri zami ka dil
Jo aaj dukh mana raha hai,
Noch rahe hai zamane wale,
Har ek apna jeevan sawar raha hai
Mere mulk ka kya hoga ae jan..
Mera bharat dukhi hai , dukh mana raha hai.
Funny Shayari SMS : fun sms
Aakhir woh aa hee gay lout ke,
Duniya ki haqeeqat dekh ke,
Warna unhe kya pata tha,
Kitna kharach hota hai ke ek sms bhej ke..
Romantic Shayari : Poem full of Romance
Aaj usne kaha, kyun nahi tum humse kuch kehte ho …
Kyun nahi tum inn khoobsurat palo mein behte ho…
Kardo ab toh mujhpe yun ek pyara sa karam…
Beet jaye naa ye pal, lelo mujhe tum apne haram !!
Kya baat hai
Ama kabhi hass bhi diya karo
Agar naraaz ho phir bhi hass diya karo..
Kya pata kaun aa ke tumhari hassi bana jaaye..
Iss liye doosron pe hass liya karo..
:))
Mera Dard
Mein Ghaafil tah uss duniya sae,
Mujhe Yakeen tha mere pyaar ka,
Kaisa kiya hai usne ruswa,
Diya usne gham, kiya usne bezaar tha !
Recent Comments